Karna Kunti Conversation in Mahabharta

Karna to kunti….when kunti reveals ,he is her son and asked him to quit war and come to the family….

Apne janm ka gyat na tha…
Ehsaas me ek yoddhha tha….
Parivaar mera shudra tha…
Shashtro ko chuna  mana tha…

Baano k chhutte sihar utha…
Dhwaj par unglia chipak si gayi…
ROM ROM kalpnaa se bhar gaya…
Ek yoddhaa ka chitra man me baith gaya tha….

Sikhne ki laalsa thi…
Mehnat jitod karni thi….
Apni baano se gagan bhedna tha…
Nadi,jungle ,samudra sab chumna tha…

Par mai kismat se shudra abhaga…
Koi guru na mila…
Hey Mate kaise bataun…
Logo ne kitna apman kiya…

Kbhi logo ne galiyan di…
Kabhi khub thahake lagaye…
Raaste me pathhar tha…
Kaanto bhari mere din raat the…

Bachpan ka najuk dil …
Sah na paata tha…
Sapno ko bhool jaun…
Yah  ho na paata tha….

Banunga ka sabse Mahan yoddhaa…
Yeh baat Maine thani thi….
In baadhao k beech…
Maine apni jeevan ki baazi lagayi thi…

Akele hi sikhne ka sankalp liya…
Nirantar prayas kiya…
Lakh darr duvidhao k beech..
Har din  tapasya kiya….

He maate…

Ye jeevan  kathin tha…
Kab soya,kab roya ,kab jaaga pata ni…
Thakakar baith jaaun….
Aisa kabhi hua ni….

He maate….dekh ab aaj ka samay…

Aaj mai  dhanurdhar kahlata ….
Yudh to chhodd ….
Log ke dil jit leta hoon…
Mjhse bada aaj koi daanveer ni….

Dil khol k baat-taa hoon ..
Duniya bhale is shudra ko samman na de….
Mere Ghar se koi khali haanth laute…
Aisa ek din na hota….

He maate par…….
He maate par….aaj bhi….

In khusiyao k beech…
Bachpan ka apman na bhoola….
Kaano me thahake gunjti hai….
Abhi mhje yoddha mahan banana baki hai….
Abhi mjhe Mahabharat ki ladai jitni baki hai…

(kunti is asking to quit the war Mahabharata and join his own brother and family)

He Maate….mjhse ye vachan na maang..

Mjhse mera yuddhh na chhin…
Mahabharata meri mukti hai…
Dharm adharm se pare…
Bachpan ki zakhmo me meri gutthhi hai…..

Ohh(in sorrow) ….with long deep breathe …He maate ….

Samay ka mere upar prahar dekh…
Mahabharat saamne hai….
Arjun mera bhai hai…
Yah raaj tujhe abhi kholna tha…

Aa gaya jeevan me fir se anokha mode….
Ladai chhodda to bachpan ki chikhe…
Ladai haara to mrityu….
Aur mahan yoddhaa banne se phle…
Bhai ka hatyara kahlaunga….

He maate….

Ye gutthi sulajh ni sakti
Meri ye Mahabharata  tal ni sakti…
Chal tujhe mai vachan deta hoon….
Mai Arjoon se yudh me haarunga…
Shayad meri mrityu hi samadhaan hai….

Bhala Teri Mamta ko kaise marunga…
Arjun hamesa tere pass tha…
Mai to wasie bhi tujhse door tha…
Thoda door aur chala jaunga….

He maate…

Mjhse ek vaada kar….
Marne k baad…
Mjhe gale lagana…
Aur Meri aankhe na band karna…

He maate …in khuli aankho me…
He maate …in khuli aankho me…

Agar koi mera dard dekh sakte to thik….
Koi mjhe mahan yodha kah sakte to thik…
Koi mjhe beta ,bhai kah sake to thik….
Koi mjhe dost samajh sake to thik…
Koi mjhe galat samjhe to thik…
Ya koi mjhe na samajh sake to bhi thik…..

Yah daanveer tb bhi …
Logo ko apni aankho me bhar kar jaayega
He maate agli baar….
In yaado k saath…
Tere aanchal me..
Ek Sukun ka bachpan gujarunga….
AUr tjhse mahabharat ki kahani sununga…

AUr tjhse mahabharat ki kahani sununga…

Ek Sukun ka bachpan gujarunga….
AUr tjhse mahabharat ki kahani sununga…

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started